ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain

ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain
hum kaghaz ki naw bana kar roz safar mein rahte hain

hone aur na hone ka ek barzakh hai hum jis mein hain
jis mein sham ghuli rahti hai aisi sahar mein rahte hain

apna to ab is duniya se kuchh aisa hi nata hai
jaise nind mein chalne wale khwab-nagar mein rahte hain

pasti aur bulandi kya ab apne khwab hayule bhi
gard ki surat udte hain aur rahguzar mein rahte hain

nind-nagar mein ja kar hur se pahron baaten hoti hain
kaise kaise khwab mere diwar-o-dar mein rahte hain

ek hawa ke jhonke hi se laraz gae hain baam-o-dar
'shabnam' aaise lagta hai hum ret ke ghar mein rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close