gae baras ki yahi baat yaadgar rahi

gae baras ki yahi baat yaadgar rahi
faza ghamon ke liye khub sazgar rahi

agarche faisla har bar apne haq mein hua
saza-e-jurm bahar-haal barqarar rahi

badalti dekhin wafadariyan bhi waqt ke sath
wafa jahan ke liye ek karobar rahi

ab apni zat se bhi e'timad un ka utha
wo jin ki baat kabhi harf-e-e'tibar rahi

khabar thi go use ab mojaze nahin hote
hayat phir bhi magar mahw-e-intizar rahi

na koi harf-e-malamat na koi kalma-e-khair
ye zist ab na kisi ki bhi zer-e-bar rahi

ye aur baat ki dil gham mein khud kafil hua
magar wo aankh mere gham mein ashk-bar rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close