ek ek lafz mein kai pahlu kahan se aae

ek ek lafz mein kai pahlu kahan se aae
jaanan tere sukhan mein ye jadu kahan se aae

jab tirgi mein chand sitare bhi gum hue
palkon ke shamiyane mein jugnu kahan se aae

suljha raha tha pech-o-kham-e-zindagi magar
hathon mein yak-ba-yak tere gesu kahan se aae

shikwa nahin hai tujh se ki is rahguzar mein
sae na sath aae to phir tu kahan se aae

uljhan tamam umr yahi thi ki zist mein
aae kahan se rang ki khushbu kahan se aae

sahra ki tarah khushk thi phir us ke lams se
be-ikhtiyar aankh mein aansu kahan se aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close