kya hua rangini-e-subh-o-masa baqi nahin

kya hua rangini-e-subh-o-masa baqi nahin
apne hi ghar mein wo pahli si faza baqi nahin

aarzuon ka koi bhi silsila baqi nahin
masala ye hai ki koi masala baqi nahin

aa gaya hai ab sawa neze pe dekho aaftab
apna saya bhi zamin par zer-e-pa baqi nahin

manzilen aawaz deti hain ki hum hain muntazir
qafile walon mein lekin hausle baqi nahin

be-mahaba us ke aane ka natija ye hua
aaina-khane mein koi aaina baqi nahin

kitni mashshaqi se us ne saf do tukde kiye
jism mein ab ek bhi tasma laga baqi nahin

hum to chhod aae the gahre naqsh rahon mein 'habab'
wae-hasrat ek bhi ab naqsh-e-pa baqi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close