ek fitna sa uthaya hai chala jaega waqt be-waqt jo aaya hai chala jaega shahr ko sare jalane ke liye nikla tha ab jo ghar mera jalaya hai chala jaega baithna hai to ghane ped ke niche baitho ye to diwar ka saya hai chala jaega hum ko marega kahan shish-mahal mein rah kar sirf patthar hi uthaya hai chala jaega wo to aata hai andhere hi mein dasne ke liye ab to har samt ujala hai chala jaega khud hi thak jaega jab galiyan de kar mujh ko us pe itna to bharosa hai chala jaega us ne chup rah ke bhi tufan uthae kitne aaj kohram machaya hai chala jaega soch ke aaya tha duniya mein sab apne honge apna saya bhi paraya hai chala jaega gham ke aane ka koi gham nahin hum ko 'asghar' apni marzi hi se aaya hai chala jaega