udasi ke jazire par ghamon ke sae gahre hain

udasi ke jazire par ghamon ke sae gahre hain
nigahon ke samundar mein lahu-rang ashk thahre hain

kahin tanhaiyon ne wahshaton se dosti kar li
kahin dil par guzishta mausamon ke ab bhi pahre hain

kahin barkha ki rut ne dil ki duniya khun mein nahla di
kahin viran rahon par qadam sadiyon se thahre hain

sajaya hai kahin aankhon ne khud ko mah-o-anjum se
isi ummid par ki aane wale din sunahre hain

bharosa kar to lun lekin batao kis pe karna hai
ki har chehre ke pichhe hi na jaane kitne chehre hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close