ek hunar hai jo kar gaya hun main

ek hunar hai jo kar gaya hun main
sab ke dil se utar gaya hun main

kaise apni hansi ko zabt karun
sun raha hun ki ghar gaya hun main

kya bataun ki mar nahin pata
jite-ji jab se mar gaya hun main

ab hai bas apna samna dar-pesh
har kisi se guzar gaya hun main

wahi naz-o-ada wahi ghamze
sar-ba-sar aap par gaya hun main

ajab ilzam hun zamane ka
ki yahan sab ke sar gaya hun main

kabhi khud tak pahunch nahin paya
jab ki wan umr bhar gaya hun main

tum se jaanan mila hun jis din se
be-tarah khud se dar gaya hun main

ku-e-jaanan mein sog barpa hai
ki achanak sudhar gaya hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close