ek nafas nabud se bahar zara rahta hun main gum-shuda chizon ke andar lapata rahta hun main jitni baaten yaad aati hain wo likh leta hun sab aur phir ek ek kar ke bhulta rahta hun main garm-joshi ne mujhe jhulsa diya tha ek din andarun ke sard-khane mein pada rahta hun main kharch kar deta hun sab maujud apne hath se aur na-maujud ki dhan mein laga rahta hun main jitni gahrai hai 'adil' utni hi tanhai hai bas ki sath-e-zindagi par tairta rahta hun main