ek nam hi ke bais adab hai kamal hai dikhta nahin hai phir bhi wo rab hai kamal hai hote hue bhi mera yahan kuchh nahin aziz wo hai nahin par us ka ye sab hai kamal hai main khak tha so khak ko phir khak hona hai ye waqia bhi dukh ka sabab hai kamal hai