ghar hai patthar ka khuda khair kare ab mere sar ka khuda khair kare pyas ne tod di hai sari haden ab samundar ka khuda khair kare roz diwaron ke baham jhagde aise mein ghar ka khuda khair kare har zaban tegh har ek hath chhuri aaj manzar ka khuda khair kare shish-mahlon ki numaish hai 'aziz' sang-e-marmar ka khuda khair kare