ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua

ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua
mujh ko qaba ka chaak hi chaak-e-sahar hua

sailab umand ke shahar ki galiyon mein aa gae
lekin gharib-e-shahr ka daman na tar hua

zindan-e-arzu mein nazar be-basar rahi
diwar dar hui to kiran ka guzar hua

wo aandhiyan chali hain ki ashjar ukhad gae
dukkan-e-shishagar pe na phir bhi asar hua

ab kaun dekhta phire kyun baam-o-dar jale
jo kuchh hua hai fasl-e-chaman se udhar hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close