ek pal bhi mere haal se ghafil nahin Thahra

ek pal bhi mere haal se ghafil nahin thahra
kyun phir wo mere dard mein shamil nahin thahra

haalat ke pale hue ifrit ke hathon
sine mein kabhi sans kabhi dil nahin thahra

har khwahish-e-jaan mar ke sab rahaten taj ke
juz mere koi gham ke muqabil nahin thahra

jis shakhs ko aata tha hunar nauhagari ka
wo shakhs bhi ab ke lab-e-sahil nahin thahra

kuchh is ke siwa aur bhi ilzam bahut the
kab muntazir-e-khanjar-e-qatil nahin thahra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close