panjon ke bal khaDe hue shab ki chaTan par

panjon ke bal khade hue shab ki chatan par
nakhun se ek kharash laga aasman par

barson darun-e-sina sulagna hai phir hamein
lagta hai qufl-e-habs hawa ke makan par

ek dhad hai ki chaaron taraf se sunai de
girdab-e-chashm ban gain aankhen machan par

maujud bhi kahin na kahin iltawa mein hai
jo hai nishan par wo nahin hai nishan par

us mein kamal us ki khabar-saziyon ka hai
khata hun main fareb jo sach ke guman par

sarkash ko nisf umr ka ho lene dijiye
bik jaega kisi na kisi ki dukan par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close