ek pili chamkili chidiya kali aankh nashili si baithi hai dariya ke kinare meri tarah akeli si jab main nasheb-o-rang-o-bu mein utra us ki yaad ke sath os mein bhigi dhup lagi hai narm hari lachkili si kis ko khabar main kis raste ki dhul banun ya phul banun kya jaane kya rang dikhae us ki aankh paheli si tez hawa ki dhaar se kat kar kya jaane kab gir jae lahraati hai shakh-e-tamanna kachchi bel chameli si kam raushan ek khwab aaina ek pila murjhaya phul pas-manzar ke sannate mein ek nadi pathrili si