ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun

ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun
har sapne ko sachcha samjha main bhi kaisa pagal hun

beach dilon ke wo duri thi tai karna aasan na tha
aankhon ko ek rasta samjha main bhi kaisa pagal hun

bada kiya tha pal-pos kar phir bhi ek din bichhad gae
khwabon ko ek bachcha samjha main bhi kaisa pagal hun

kante si khud meri shohrat har-pal dil mein chubhti hai
fan ko khel-tamasha samjha main bhi kaisa pagal hun

tan par to ujle kapde the lekin man ke kale the
un logon ko achchha samjha main bhi kaisa pagal hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close