ek sail-e-be-panah ki surat rawan hai waqt tinke samajh rahe hain ki wahm-o-guman hai waqt parkho to jaise tegh-e-do-dam hai khinchi hui talo to ek udta hua sa dhuan hai waqt jo dil hadaf hua ho wo shayad bata sake nawak bhi aap aap hi chadhti kaman hai waqt hum us ke sath hain ki wo hai apne sath sath kis ko khabar ki hum hain rawan ya rawan hai waqt tarikh kya hai waqt ke qadmon ki gard hai qaumon ke auj-o-past ki ek dastan hai waqt agle sukhan-waron ne jise aasman kaha sach puchhiye to aaj wahi aasman hai waqt hamdam nahin rafiq nahin ham-nawa nahin lekin hamara sab se bada raazdan hai waqt kal kaenat apne jilau mein liye hue 'jawed' hast-o-bud ka ek karwan hai waqt