ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai is manzar mein us ke alawa koi akela kafi hai dene wala jholiyan bhar bhar deta hai to us ka karam lene wale kab kahte hain data itna kafi hai ek ghalat-andaz nazar se gulshan gulshan dagh jalen shabnam shabnam rulwane ko ek hi jumla kafi hai khushk labon par pyas sajae bahr-e-asham nahin hain hum hum jaison ko tishna-labi mein ek hi dariya kafi hai ab to aur bhi duniyaen hain muntazir-e-arbab-e-hawas un logon ka qaul nahin hai hum ko ye duniya kafi hai shahr-e-wafa se dasht-e-junun tak chahe jitne marahil hun wahshat ke to dusre rukh par ek daricha kafi hai husn-e-sukhan baqi rakhne ko kuchh ibham zaruri hai kahte kahte ruk jaane mein hai jo ishaara kafi hai us ke afsun us ke fasane donon ko mashur rakhen aql-o-junun ki dahlizon par khwab ka pahra kafi hai ek sabha dil walon ki ek tan rasile logon ki shahr ke raushan rakhne ko itna sa ujala kafi hai