ek umr bhaTakte rahe ghar hi nahin aaya

ek umr bhatakte rahe ghar hi nahin aaya
sahil ki tamanna thi nazar hi nahin aaya

raushan hain jahan sham-e-mohabbat ki qataren
wo kunj-e-kam-asar nazar hi nahin aaya

main jhut ko sachchai ke paikar mein sajata
kya kijiye mujh ko ye hunar hi nahin aaya

wo gumbad-e-be-dar tha ki diwar-e-ana thi
manzar koi bahar ka nazar hi nahin aaya

ek aisa safar bhi mujhe darpesh tha logo
kuchh kaam jahan zad-e-safar hi nahin aaya

baithe rahe palkon ko bichhae sar-e-rahe
wo jaan-e-jahan-gasht idhar hi nahin aaya

ek pal ko jahan baitha hun thak kar kabhi 'akhtar'
raste mein koi aisa shajar hi nahin aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close