ek umr fasane gham-e-jaanan ke gaDhe hain

ek umr fasane gham-e-jaanan ke gadhe hain
tare ufuq-e-sher pe kya kya na jade hain

sahra mein hai jal-thal to samundar mein bagule
hum waza ke paband hain chup-chap pade hain

aae koi jae hamein kya kaam ki hum log
khambe hain ki sadkon ke kinare pe gade hain

khud par jo padi hai to dhadakta nahin dil bhi
ghairon ke liye kabe mein ja ja ke lade hain

mehdi koi aaega badal dega muqaddar
kya jaaniye is aas mein kis din se pade hain

hum kuchh bhi hon lekin hain tere panw ki mitti
charche tere kuchh bhi na hon phir bhi to bade hain

ye martaba hasil hai teri bazm ko jin se
wo log abhi tak pas-e-diwar pade hain

angare baraste hain agar kuchh to hai warna
is munh se sada phul mohabbat ke jhade hain

mauquf karo ham-sukhani 'mir' ki 'shohrat'
arbab-e-qalam par ye shab-o-roz kade hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close