faeda kuchh nahin ishaaron se

faeda kuchh nahin ishaaron se
hum bahut dur hain kinaron se

dil munawwar hua shararon se
hum ko nisbat hai chand-taron se

khub mahke khizan ke mausam mein
zakhm khae the jo bahaaron se

gulsitan aap ko mubarak ho
apni azmat se reg-zaron se

phul barse hain baad marg un par
shaghl karte rahe jo kharon se

yaad phir rang mein nazar aai
zindagi bhar gai nazaron se

intizari to jaan le leti
sabr milta raha sitaron se

koi aawaz jab nahin hoti
saz bujhte hain dil ke taron se

dil ki gahraiyan kahan tak hain
'shauq' puchho ye gham ke maron se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close