fahmida hai jo tujhko to fahmid se nikal

fahmida hai jo tujh ko to fahmid se nikal
aur did ka jo shauq hai to did se nikal

zindan-e-hijr mein hamein saunpa tha ishq ne
aae hain hum nasibon ki taid se nikal

qalib mein mere yaro bhala kya samawi dam
jab jaan ko kahe koi takid se nikal

tashbib mein bhi lutf hai ek ai qasida-go
itna shitab bhi tu na tamhid se nikal

misre ko pahunche misra-e-sani bura hai kya
kar le nikah aalam-e-tajrid se nikal

kar tu uyub-e-nazm se parhez ai fulan
shaer hai to tanafur o taqid se nikal

hain yaad kab ai meri wahshat ke rang-dhang
majnun gaya hai dasht ko taqlid se nikal

wo mast main nahin hun ki maston ki kha ke dhul
jaun sharab-khana-e-tauhid se nikal

ho 'mushafi' tu ilm-e-ilahi ka aashna
qaid-e-anasir aur mawalid se nikal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close