fajar uth khwab sin gulshan mein jab tum ne mali ankhiyan gain mund sharm sun nargis ki pyare jun kali ankhiyan nazar bhar dekh tere aatishin rukhsar ai gul-ru mere dil ki ba-rang-e-qatra-e-shabnam gali ankhiyan khiraman aab-e-haiwan jun chala jab jaan aage sin anjhu ka bhes kar pichhun sin pyare bah chali ankhiyan tumhein auron sin duna dekhti hain khush-numai mein hunar jaane hain apna aaj aib-e-ahwali ankhiyan pakad mizhgan ke panje sun maroda yun mere dil ko teri zor-awari mein aaj rustam hain bali ankhiyan tera har uzw pyare khush-numa hai uzw-e-digar sin mizha sin khub-tar abru wa abru sin bhali ankhiyan tahayyur ke phande mein said ho kar chaukdi bhule agar aahu kun dikhlaun sajan ki achpali ankhiyan hui fanus gardun ke siyah kajal sun sar-ta-pa shab-e-hijran mein teri shama ho yan lag jali ankhiyan zaban kar apne mizhgan kun lagi hain rekhte padhne hui hain 'abru' ke wasf mein teri wali ankhiyan