falak hai surKH magar aaftab kala hai

falak hai surkh magar aaftab kala hai
andhera hai ki tere shahr mein ujala hai

chaman mein in dinon kirdar do hi milte hain
koi hai sanp koi sanp ka niwala hai

shab-e-safar to isi aas par bitani hai
ajal ke mod ke aage bahut ujala hai

jahan khulus ne khai shikast duniya se
wahin junun ne uth kar mujhe sambhaala hai

main kho gaya hun tere khwab ke taaqub mein
bas ek jism mera aakhiri hawala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close