falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre

falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam thahre
sakun dushwar hai kyunkar tabiat koi dam thahre

qaza ne doston se dekhiye aakhir kiya nadim
kiye the ahd-o-paiman jis qadar wo kul adam thahre

chhua tu ne jise mara use ai afai-e-gesu
ye sab tiryaq mere tajraba karne mein sam thahre

kiya jab ghaur koson dur nikli manzil-e-maqsad
kabhi gar pa-e-shal utthe to chal kar do qadam thahre

laga kar dil juda hona na thi shart-e-wafa sahab
gham-e-furqat ki shiddat se karam jaur-o-sitam thahre

jo kuchh dekha wo aaina tha aane wali haalat ka
jahan dekha yahi aaankhon ke kanse jam-e-jam thahre

amal kahne pe apne hazrat-e-waiz karen pahle
gunah ke mo'tarif jab hain to wo kab mohtaram thahre

jawani ki siyah-masti mein wasf-e-zulf likkha tha
badha wo silsila aisa ki hum mushkin qalam thahre

ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta
wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram thahre

bashar ko qaid-e-kulfat maya-e-andoh-o-afat hai
rahe achchhe jo is mehman-sara mein aa ke kam thahre

'habib'-e-na-tawan se rah-e-ulfat tai nahin hoti
ajab kya gar ye rasta jada-e-mulk-e-adam thahre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close