falak ne bheje hain kya jaane kis wasile se

falak ne bheje hain kya jaane kis wasile se
lahu ke bahr mein bhi kuchh sadaf hain nile se

abhi to qafila-e-baad sabz rah mein hai
isi liye to hain ashjar-e-dasht pile se

jo mere sath hai sadiyon se misl-e-aks-e-bahaar
khabar nahin ki hai wo shakhs kis qabile se

pada hai kab se siyah-posh mera dasht-e-badan
charagh is mein jala de kisi bhi hile se

qayas kahta hai un ke aqab mein hai suraj
chamak rahe hain ufaq par jo zard tile se

hai lams-e-ab se mahrum dasht-e-khak-o-hawa
na jaane kis liye zarraat phir hain gile se

ragon mein aaj bhi raushan hain surkh-o-zard charagh
ajib shai the wo ishrat badan nashile se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close