har ek ahd mein jo sangsar hota raha lahu lahu main usi harf ke badan mein hun zaban kyun nahin banti hai ham-nawa dil ki ye shakhs kaun hai main kis ke pairahan mein hun mere lahu se hi us ne sipar ka kaam liya use khabar thi ki main taq apne fan mein hun har aaine mein hai mahfuz meri hi taswir bahut dinon se main khud apni anjuman mein hun sadaen deta hai 'ishrat' koi mere andar ki main rafiq tera rah-e-pur-shikan mein hun