faqat mehnat mashaqqat ka natija kam nikalta hai

faqat mehnat mashaqqat ka natija kam nikalta hai
dua jab man ki shamil ho to phir zamzam nikalta hai

kahin par bhi sambhalne ki ye mohlat hi nahin deta
kanar-e-waqt se har hadsa ek dam nikalta hai

mohabbat ke safar mein jab kahin par mod aa jae
suna ye hai wahin se hijr ka mausam nikalta hai

safar ka marhala jo ho jahan par likh diya jae
usi manzil pe aa kar zindagi ka dam nikalta hai

bahut kamzor hota hai kahin par khun ka rishta
kahin ek kaghzi rishta hi mustahkam nikalta hai

ye kaisi wadi-e-ghurbat se wabasta hue hum log
jahan sardi mein suraj bhi bahut kam-kam nikalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close