fareb tha aql-o-agahi ka ki meri fikr-o-nazar ka dhoka

fareb tha aql-o-agahi ka ki meri fikr-o-nazar ka dhoka
jo aakhir-e-shab ki chandni par hua tha mujh ko sahar ka dhoka

main baghbanon ki sazishon ko siyasaton ko samajh chuka hun
khizan ka kha kar fareb-e-paiham utha ke barq-o-sharar ka dhoka

shuur-e-pukhta ki khair ho jis ne zindagi ko bacha liya hai
teri nigah-e-karam-numa ne diya to tha umr-bhar ka dhoka

duaon ko hath utha raha hun ye khud-farebi mulahiza ho
fareb-e-taskin ka bura ho main kha raha hun asar ka dhoka

dikhai deti hai maskh 'nayyar' hasin surat bhi zindagi ki
qusur hai aaine ka is mein ki hai ye aaina-gar ka dhoka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close