shahr-e-ehsas mein zaKHmon ke KHaridar bahut

shahr-e-ehsas mein zakhmon ke kharidar bahut
hath mein sang utha shishon ke bazar bahut

koi khidki hai salamat na koi darwaza
mere ghar ke sabhi kamre hain hawa-dar bahut

hath thakte nahin rangon ke hayule ban kar
ahl-e-fan ko sar-e-kaghaz khat-e-pur-kar bahut

dasht mein bhi wahi aasar hain aabaadi ke
phailta jata hai ab saya-e-diwar bahut

dhup ka phul gira shakh-e-shafaq se jis dam
din ka chehra nazar aata tha shikan-dar bahut

naqsh hai zehn pe yun tera tilismi paikar
main hun khud apni nigahon mein pur-asrar bahut

lafz kirnon ki tarah dil mein utar jate hain
dil nashin hai tera pairaya-e-izhaar bahut

khauf dushman ki tarah mere taaqub mein bhi tha
khanjar-e-wahm ke main ne bhi sahe war bahut

tan gae itne mere gird hawaon ke pahad
sans lena bhi hai mere liye dushwar bahut

ab bhi lamhon se salasil ki khanak aati hai
ab bhi hain waqt ke zindan mein giraftar bahut

zakhm ke chand na raaton ko mere dil mein utar
mere sine pe na rakh sang-e-giran-bar bahut

tirgi aae na 'siddiq' ziya ke nazdik
kat rakhti hai ye tuti hui talwar bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close