fasana-e-sitam-e-kaenat kahte hain ye ashk-e-gham to mere dil ki baat kahte hain wahi nigah ki jis se jahan larazta hai hum us nigah ko raaz-e-hayat kahte hain tulu-e-mehr-e-mubin tak nazar nahin jati jo be-khabar hain wo din ko bhi raat kahte hain gul-o-bahaar ka anjam hai jinhen malum chaman ko dam-gah-e-hadsat kahte hain hum ahl-e-ishq hain 'shair' hamein ye hosh kahan kise itab kise iltifat kahte hain