fasl-e-gul kya kar gai aashufta samanon ke sath hath hain uljhe hue ab tak garebanon ke sath tere mai-khanon ki ek laghzish ka hasil kuchh na puchh zindagi hai aaj tak gardish mein paimanon ke sath dekhna hai ta-ba-manzil ham-safar rahta hai kaun yun to aalam chal pada hai aaj diwanon ke sath un hasin aankhon se ab lillah aansu puchh lo tum bhi diwane hue jate ho diwanon ke sath zindagi nazr-e-haram to ho chuki lekin 'surur' har aqidat qaza-e-alam sanam-khane ke sath