faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae

faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae
wo muskura de zara sa to bhor ho jae

kabhi jo utrun main raqs-e-sukhan ke sahra mein
to apna haal bhi manind-e-mor ho jae

wo mai-kade se bhi nikle to pak-baz rahe
main us ki aankhon se pi lun to shor ho jae

nazar mein phul ho kaghaz pe ek sahra ho
to yun ghazal ka koi or-chhor ho jae

jo feal-e-asl ko main nazm karne baithun to
badan se lahr uthe por por ho jae

har ek raat wahi dish ho zaiqa bhi wahi
to phir mizaj-e-tarah-dar bor ho jae

ye shamiyana sukhan ka qarar-e-jaan thahra
yahan qayam kare jo pator ho jae

muraqiba mein koi aage chham se itrae
to phir faqir ke dil mein bhi chor ho jae

magar ye dil ki kisi aur ka nahin rakhta
dimagh kahta hai tu meri aur ho jae

wo ek badan ki jo sar-chashma-e-tasawwur ho
to pa-barahna safar mein bhi zor ho jae

jo sun le 'qasmi' teri ghazal to patthar bhi
majal hai ki wo itna kathor ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close