ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain

ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain
abhi se kuchh dil-e-muztar par apne tir chalte hain

zara dekho to ai ahl-e-sukhan zor-e-sanaat ko
nai bandish hai majnun nur ke sanche mein dhalte hain

bura ho ishq ka ye haal hai ab teri furqat mein
ki chashm-e-khun-chakan se lakht-e-dil paiham nikalte hain

hila denge abhi ai sang-dil tere kaleje ko
hamari aah-e-atish-bar se patthar pighalte hain

tera ubhra hua sina jo hum ko yaad aata hai
to ai rashk-e-pari pahron kaf-e-afsos milte hain

kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere
tadapte hain fughan karte hain aur karwat badalte hain

'rasa' hajat nahin kuchh raushni ki kunj-e-marqad mein
bajae-shama yan dagh-e-jigar har waqt jalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close