fikr hi Thahri to dil ko fikr-e-KHuban kyun na ho

fikr hi thahri to dil ko fikr-e-khuban kyun na ho
khak hona hai to khak-e-ku-e-jaanan kyun na ho

dahr mein ai khwaja thahri jab asiri na-guzir
dil asir-e-halqa-e-gesu-e-pechan kyun na ho

zist hai jab mustaqil aawaragardi hi ka nam
aql walo phir tawaf-e-ku-e-jaanan kyun na ho

jab nahin masturiyon mein bhi gunahon se najat
dil khule bandon ghariq-e-bahr-e-isyan kyun na ho

ek na ek hangame par mauquf hai jab zindagi
mai-kade mein rind raqsan o ghazal-khwan kyun na ho

jab khush o na-khush kisi ke hath mein dena hai hath
ham-nashin phir baiat-e-jam-e-zar-afshan kyun na ho

jab bashar ki dastaras se dur hai hablul-matin
dasht-e-wahshat mein phir ek kafir ka daman kyun na ho

ek hai jab shor-e-jahl o bang-e-hikmat ka maal
dil halak-e-zauq-e-gulbang-e-pareshan kyun na ho

ek na ek rifat ke aage sajda lazim hai to phir
aadmi mahw-e-sujud-e-sarw-e-khuban kyun na ho

ek na ek phande hi mein phansna hai jab insan ko
dosh par dam-e-siyah-e-sumbulistan kyun na ho

jab farebon mein hi rahna hai to ai ahl-e-khirad
lazzat-e-paiman bar-e-sust-paiman kyun na ho

yan jab aawezish hi thahri hai to zarre chhod kar
aadmi khurshid se dast-o-gareban kyun na ho

ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh'
zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close