fikr pabandi-e-haalat se aage na baDhi

fikr pabandi-e-haalat se aage na badhi
zindagi qaid-e-maqamat se aage na badhi

hum samajhte the gham-e-dil ka mudawa hogi
wo nazar pursish-e-haalat se aage na badhi

un ki khamoshi bhi afsana-dar-afsana bani
hum ne jo baat kahi baat se aage na badhi

sarkhushi ban na saki zahr-e-alam ka tiryak
zindagi talkhi-e-haalat se aage na badhi

ishq har marhala-e-gham ki haden tod chuka
aql andesha-e-haalat se aage na badhi

aisi jannat ki hawas tujh ko mubarak zahid
jo tere husn-e-khayalat se aage na badhi

nigah-e-dost mein tauqir nahin us ki hamid
wo tamanna jo munajat se aage na badhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close