har zarra chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar hai aaj dil mahw-e-intizar hai aur kis qadar hai aaj goya wo jalwa-gar hain nigahon ke ru-ba-ru is darja eatibar-e-fareb-e-nazar hai aaj mad-hoshi-e-jamal hai ya husn-e-iltifat tamkin se be-khabar nigah-e-fitnagar hai aaj aahat pe sans ki teri aamad ka hai guman hangama-e-hayat bhi khamosh-tar hai aaj jo raaz-e-do-jahan hai amanat hai husn ki hasil mujhe wo azmat-e-dard-e-jigar hai aaj manzil ka mujh ko hosh na apni khabar hai aaj wo jaan-e-arzu jo mera ham-safar hai aaj tahlil ho na jae kahin ruh-e-kaenat saqi jo ye latafat-e-kaif-e-nazar hai aaj mahwiyyat-e-jamal mein yara-e-guftugu ai arz-e-shauq aalam-e-nau-e-digar hai aaj saz-e-alam bhi soz-e-tarab-khez hai 'hamid' har ek nawa-e-dard meri naghma-gar hai aaj