gae ji se chhuTe buton ki jafa se

gae ji se chhute buton ki jafa se
yahi baat hum chahte the khuda se

wo apni hi khubi pe rahta hai nazan
maro ya jiyo koi us ki bala se

koi hum se khulte hain band us qaba ke
ye uqde khulenge kaso ki dua se

pasheman tauba se hoga adam mein
ki ghafil chala shaikh lutf-e-hawa se

na rakhi meri khak bhi us gali mein
kudurat mujhe hai nihayat saba se

jigar-sui-e-mizhgan khincha jae hai kuchh
magar dida-e-tar hain lohu ke pyase

agar chashm hai to wahi ain haq hai
tassub tujhe hai ajab ma-siwa se

tabib subuk-e-aql hargiz na samjha
hua dard-e-ishq aah duna dawa se

tak ai muddai chashm-e-insaf wa kar
ki baithe hain ye qafiye kis ada se

na shikwa shikayat na harf-o-hikayat
kaho 'mir' ji aaj kyun ho khafa se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close