gahraiyon mein dil ki utarta chala gaya

gahraiyon mein dil ki utarta chala gaya
gham ta-dam-e-hayat nikharta chala gaya

yaadon ki wadiyon mein jahan rakh diye qadam
har naqsh zindagi ka ubharta chala gaya

lutf-o-karam ka daur bhi aaya to is tarah
jhonka hawa ka jaise guzarta chala gaya

sun li agar kisi ki kabhi aah-e-dil-kharash
nashtar sa ek dil mein utarta chala gaya

aaghaz-e-ishq ki faqat itni si yaad hai
aankhon se koi dil mein utarta chala gaya

hum bhi rah-e-hayat mein chalte rahe magar
saya sa jaise koi guzarta chala gaya

dekhi nigah-e-shauq mein jab gham ki dastan
andaz-e-husn aur nikharta chala gaya

wo rafta rafta zindagi se dur kya hue
ehsas zindagi ka bhi marta chala gaya

duniya-e-iltifat simatti chali gai
shiraaza-e-hayat bikharta chala gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close