hawa chalti hai dam Thahra hua hai

hawa chalti hai dam thahra hua hai
faza mein kis ka gham thahra hua hai

tasawwur mein ubharte khal-o-khad par
musawwir ka qalam thahra hua hai

usi ko apni manzil kah raha hai
jahan jis ka qadam thahra hua hai

samaat ke jaziron mein kahin par
tere lahje ka ram thahra hua hai

zara thahro ki chalti hai abhi sans
chale aao ki dam thahra hua hai

mere khwabon ke rukhsaron pe ab tak
kisi bose ka nam thahra hua hai

khuda bhi hai usi kuche ka basi
jahan mera sanam thahra hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close