gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha

gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha
sahil pe bhi khada hua gharqab sa raha

be-nam si ek aag jalati rahi mujhe
khun ke bajae jism mein tezab sa raha

khali wajud hi liye phirta raha magar
kandhon pe umr bhar mere asbab sa raha

naghme bikherta raha ehsas-e-talkh bhi
khama bhi mere hath mein mizrab sa raha

ashkon mein us ke husn ki lau tairti rahi
pani ke aasman pe mahtab sa raha

kaam aai shairi bhi 'muzaffar' ke kis qadar
tanhai mein bhi majma-e-ahbab sa raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close