gahre suron mein arz-e-nawa-e-hayat kar

gahre suron mein arz-e-nawa-e-hayat kar
sine pe ek dard ki sil rakh ke baat kar

ye duriyon ka sail-e-rawan barg-e-nama bhej
ye faslon ke band-e-giran koi baat kar

tera dayar raat meri bansuri ki lai
is khwab-e-dil-nashin ko meri kaenat kar

mere ghamon ko apne khayalon mein bar de
in uljhanon ko silsila-e-waqiat kar

aa ek din mere dil-e-viran mein baith kar
is dasht ke sukut-e-sukhan-ju se baat kar

'amjad' nashat-e-zist isi kashmakash mein hai
marne ka qasd jine ka azm ek sat kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close