gala baiTha hai kaTne ki hawas mein hichkiyan bhar kar

gala baitha hai katne ki hawas mein hichkiyan bhar kar
chala hai koi tarkash mein qafas ki tiliyan bhar kar

khade ho barishon ki aas mein kya kisht-e-dil walo
koi baitha hua hai baadalon mein bijliyan bhar kar

yahan to harf ka honton pe aate dam nikalta hai
dil-e-diwana daman mein chala hai arziyan bhar kar

tabassum zer-e-lab bhi ishq ko mauj-e-tasalli hai
samundar so gaya daman mein khali sipiyan bhar kar

kisi ne jab dil-e-barbaad ka ahwal puchha hai
bagule rahguzar ki khak lae mutthiyan bhar kar

hamare shauq ka hasil hai ye ab koi kya thahre
khade hain jeb mein daman ki apne dhajjiyan bhar kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close