gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai

gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai
mohabbat mein to zarra bhi sitara hone lagta hai

yahan gum-sum se logon par kabhi palken nahin utthin
ishaara karne walon ko ishaara hone lagta hai

hamari zindagi par hai hamare ishq ka saya
ki hum jo kaam karte hain khasara hone lagta hai

mohabbat ki adalat bhi bhala kaisi adalat hai
ki jab bhi uthne lagte hain pukara hone lagta hai

zamin o aasman ke sare sahra raqs karte hain
kisi par ishq jab bhi aashkara hone lagta hai

'ata' be-sabr logon ke kabhi bartan nahin bharte
guzara karne walon ka guzara hone lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close