ganw rafta rafta bante jate hain ab shahr

ganw rafta rafta bante jate hain ab shahr
qarya qarya phail raha hai tanhai ka zahr

mujh ko dasta rahta hai bas har dam yahi khayal
ek hi rukh par kyun bahta hai dariya aathon pahr

kaun sa bhula-bisra gham tha jo aaya hai yaad
rah rah kar phir dil mein utthe dard ki mithi lahar

mera jite rahna bhi to ban gaya ek azab
lekin mera marna bhi to ho jaega qahr

lagta hai kuchh anhoni si hone wali hai
darham-barham hone ko hai jaise nizam-e-dahr


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close