isko kuchh to milta hai mujh pe zulm Dhane se

is ko kuchh to milta hai mujh pe zulm dhane se
baz wo na aaega mera ghar jalane se

ga rahi hain diwaren raqs mein hai aangan bhi
kitni raunaqen aain tere lut aane se

aa ki tere mathe par ab ise saja dun main
chand le ke aaya hun raat ke khazane se

wo bhi in dinon yaro apni chaal mein gum hai
hum bhi kuchh nahin kahte aaj kal zamane se

hum ne apni aankhon mein khwab kuchh sajae hain
apna bhi talluq hai zist ke gharane se

wo hai be-nazar 'pashi' us ko kya khabar 'pashi'
kitne dil sulagte hain ek diya bujhane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close