gar bhala manas hai to KHandon se tu mil mil na hans

gar bhala manas hai to khandon se tu mil mil na hans
muskura jun ghuncha par gul ki tarah khil khil na hans

ro ruwa chahe jata rone se ja hai dil se dang
zang ho hai dil upar hansne se aa ai dil na hans

tu hanse hai maut ko aur maut hansti hai tujhe
maut ko hansna nahin hai khub ai ghafil na hans

aql se hai dur hansna dam-ba-dam aaqil ke tain
aql hai tu to kisi be-aql par aaqil na hans

hans jata chahe akela hans tu diwane ki tarah
par hansi mein tu kisi hanste se ho shamil na hans

jo hansi hai aur ko us ne hansaya aap ko
is hansi mein kuchh nahin hasil hai be-hasil na hans

hanste hanste mein kai ke ghar lage hain khalse
zabt kar apni hansi 'hatim' tu ab yak til na hans


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close