wo mahtab jab us ghar se ghar badalne laga sitare tut gae aasman jalne laga thahar gae to na tha koi puchhne wala jo hum chale to zamana bhi sath chalne laga dayar-e-dard ki rasm-o-rah-e-wafa hai yahi nigah dubi dahan bhi lahu ugalne laga nishana-e-sitam-e-rozgar tha par ab dukhon ka zahr mere jism-o-jaan mein palne laga wo to raha na wo raste isi liye manzar har ek wajud nae paikaron mein dhalne laga