gar jazba-e-wahshat ka ai dil yahi unwan hai do roz ka daman hai do din ka gareban hai hansne mein ki rone mein marne mein ki jine mein malum nahin kis mein khushnudi-e-jaanan hai hum wahshiyon ka maskan kya puchhta hai zalim sahra hai to sahra hai zindan hai to zindan hai zindan mein khayal itna ai dast-e-junun rakhna ta-umr asiri hai aur ek gareban hai allah zamane ke dil ko rakhe qabu mein hum jaante hain manzar kyun chaak gareban hai