hasraton mein ab ye ek hasrat hamare dil mein hai itna kah dije ki be-chaara badi mushkil mein hai ek musa the ki in ka zikr har mahfil mein hai aur ek main hun ki ab tak mere dil ki dil mein hai aaj kyun had se siwa uljhan hamare dil mein hai kya nasib-e-dushmanan wo bhi kisi mushkil mein hai hai koi aisa jo saqi se kahe mere liye ye bhi ek allah ka banda teri mahfil mein hai ya ilahi khair yun hamdardiyan hoti hain aaj jaise mere dil ka sara dard unhin ke dil mein hai dekhna ye hai un aankhon mein sama jata hai kaun yun to hone ko zamana bhar teri mahfil mein hai dekhiye kis ke muqaddar mein likhi hai ye bahaar aaj to ek haar phulon ka kaf-e-qatil mein hai dekhiye to apne wahshi ki tasawwur mein khushi ghar mein tanha hai magar jaise bhari mahfil mein hai hai mohabbat koi bimari to bimari qubul hae 'manzar' kis maze ka dard apne dil mein hai