gar yaad mein saqi ki saghar nazar aa jae

gar yaad mein saqi ki saghar nazar aa jae
paimana-e-dil chhalke munh ko jigar aa jae

aks-e-rukh saqi ko gar dekh lun saghar mein
kuchh dil ke bahalne ki surat nazar aa jae

tayyar raho har-dam marne pe kamar bandhe
dar-pesh-e-khuda jaane kab ye safar aa jae

han sair tu kar ghafil us gor-e-ghariban ki
anjam tujhe apna shayad nazar aa jae

phir jaen hamesha ko duniya se meri aankhen
marte dam agar jalwa tera nazar aa jae

shor-e-nafas-e-bulbul se hosh uden sab ke
gar zamzama-sanji par ye musht-e-par aa jae

bimar-e-mohabbat ki ab hai ye dua har-dam
phir sham na ho jis ki aisi sahar aa jae

behtar hai kham-o-saghar aankhon se rahen ojhal
aisa na ho shishe par dil tut kar aa jae

'yas' aap ki be-jurmi aade nahin aa sakti
gar baat par apni wo bedad-gar aa jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close